maut ki raushni mein sanwara use

By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
maut ki raushni mein sanwara use
hum ne dulhan banaya dubara use
jaane kin paniyon par raha us ka sath
jaane kin sahilon par utara use


us se bichhda to bichhda hun puri tarah
chhod aaya hun sare ka sara use
tab se ummid bandhe hue hai ye dil
jab kiya bhi nahin tha ishaara use


koi kahta tha sahil to koi bhanwar
sab ne apni tarah se pukara use
jitna hum ro rahe the bichhadte hue
ranj utna nahin tha hamara use


30187 viewsghazalEnglish