maut mera ek zara sa kaam kar
By farhat-ehsasFebruary 26, 2024
maut mera ek zara sa kaam kar
zindagi ki dhup mein kuchh sham kar
le ye chadar khud-kushi ki khud pe dal
zindagi kuchh din zara aaram kar
le ke aata hun main apni wahy-e-jism
tu faraham ruh ka ilham kar
rukh taraqqi ka palat de mere jism
warna mar jaega khud ko kham kar
jism phir khud hi qalandar ban gaya
ruh ke daman ko kuchh din tham kar
dhajjiyan kar ja ke ka'be ka ghilaf
dhajjiyon ko jama-e-ehram kar
'farhat-ehsas' apni tegh-e-amn se
farhatullahon ka qatl-e-'am kar
zindagi ki dhup mein kuchh sham kar
le ye chadar khud-kushi ki khud pe dal
zindagi kuchh din zara aaram kar
le ke aata hun main apni wahy-e-jism
tu faraham ruh ka ilham kar
rukh taraqqi ka palat de mere jism
warna mar jaega khud ko kham kar
jism phir khud hi qalandar ban gaya
ruh ke daman ko kuchh din tham kar
dhajjiyan kar ja ke ka'be ka ghilaf
dhajjiyon ko jama-e-ehram kar
'farhat-ehsas' apni tegh-e-amn se
farhatullahon ka qatl-e-'am kar
29567 viewsghazal • English