maut se yari na thi hasti se be-zari na thi us safar par chal diye hum jis ki tayyari na thi hum usi ki khak se utthe hain kundan ban ke aaj dosto jis shahar mein rasm-e-wafadari na thi hum ne khun-e-arzu de kar munaqqash kar diya warna diwar-e-talab par aisi gul-kari na thi mar gae sar phod ke diwar-e-zindan se asir zindagi kunj-e-qafas mein maut se pyari na thi ab shikast-e-arzu hai bais-e-taskin-e-dil is se pahle to kabhi ye kaifiyat tari na thi jal raha hai har nafs ab apne gham ki aanch se sans lene mein kabhi 'mohsin' ye dushwari na thi