mayusi ki barf paDi thi lekin mausam sard na tha

By qaisarul-jafriNovember 12, 2020
mayusi ki barf padi thi lekin mausam sard na tha
aaj se pahle dil mein yaro! itna thanda dard na tha
tanhai ki bojhal raaten pahle bhi to barsi thin
zakhm nahin the itne qatil gham itna be-dard na tha


phirte hain ab ruswa hote kal tak ye raftar na thi
shahr mein thin sau ku-e-malamat dil aawara-gard na tha
marne par bhi lau deti thi diwane ke dil ki aag
pathrai thin aankhen lekin phul sa chehra zard na tha


harf-e-tasalli mauj-e-hawa the mauj-e-hawa se hota kya
sine ka patthar tha 'qaisar'
gham daman ki gard na tha
21328 viewsghazalEnglish