maza hai imtihan ka aazma le jis ka ji chahe namak zakhm-e-jigar par aur dale jis ka ji chahe jigar maujud hai to wo bana le jis ka ji chahe gala hazir hai khanjar aazma le jis ka ji chahe agar hai husn ka dawa mah o khurshid donon mein kaf-e-pa se tumhaare munh mila le jis ka ji chahe ye musht-e-ustukhwan apne kisi ke kaam mein aaen huma ho ya sag-e-dildar kha le jis ka ji chahe agar hai zindagi baqi to hum hasrat nikalenge dil-e-pur-arzu par khak dale jis ka ji chahe faqiron ko nahin kuchh zinat-e-duniya se matlab hai main khush kambal mein hun odhe doshaale jis ka ji chahe jo raushan dil mein un ki raushni chhupti nahin hargiz mah-e-taban pe sahab khak dale jis ka ji chahe shikayat mujh ko donon se hai naseh ho ki waiz ho na samjha hun na samjhun sar phira le jis ka ji chahe main hun barg-e-khizan-uftada main mardud dahqan hun gira hun un ki nazron se utha le jis ka ji chahe nahin hota kabhi aab-e-rawan par shak najasat ka mere ashkon ke dariya mein naha le jis ka ji chahe chaman mein gul ke murjhane se 'agha' ho gaya sabit bisan-e-ghuncha dam bhar muskura le jis ka ji chahe