mazaq-e-gham se nikhrega shuur-e-karwan kab tak

By salahuddin-faiq-burhanpuriNovember 15, 2020
mazaq-e-gham se nikhrega shuur-e-karwan kab tak
asir-e-rahbari dhundenge qadmon ke nishan kab tak
zara zakhmon pe dil ke aur thodi si namak-pashi
nikharta hi nahin dekhen ye husn-e-gulsitan kab tak


khudi ko bech kar sajda koi sajda nahin hota
jabin-e-shauq se kah do talash-e-astan kab tak
mere afkar mein baalidgi hai husn-e-qismat kab
tere honton pe ai shair hadis-e-dil-baran kab tak


numud-e-subh se pahle sar-e-manzil pahunchna hai
dhundlakon se ye ghabrahat amir-e-karwan kab tak
kafan bandhe hue sar se shuur-e-zindagi ubhra
teri nazron mein saqi gardish-e-ratl-e-garan kab tak


zamana karwaten leta hai tamiri iradon se
na jaane teri aankhon mein rahe khwab-e-giran kab tak
asiron ka talluq kya bahaar-e-sahn-e-gulshan se
qafas mein aaegi jaane bahaar-e-jawedan kab tak


khudi se kaam le taqdir shayad kaam aa jae
hujum-e-gham mein 'faiq' shorish-e-ah-o-fughan kab tak
50403 viewsghazalEnglish