maze betabiyon ke aa rahe hain wo hum ko hum unhen samjha rahe hain abhi kal tak the kaise bhole-bhaale zara ubhre hain aafat dha rahe hain kaha us ne sawal-e-wasl sun kar ki mujh se aap kuchh farma rahe hain wo bijli hain to hon un ko mubarak mujhe kis waste tadpa rahe hain mujhe to intizar-e-chaaragar hai ilahi ghash pe ghash kyun aa rahe hain rahe daman bhara un ka hamesha lahad par phul jo barsa rahe hain suna kar qissa-e-parwana-o-shama hamare dil ko wo garma rahe hain do roza husn par phule hain kya gul bade kam-zarf hain itra rahe hain kabhi hum ne piya tha baada-e-ishq 'jalil' us ke maze ab aa rahe hain