mazhab ka ho kyunkar ilm-o-amal dil hi nahin bhai ek taraf cricket ki khilai ek taraf collage ki padhai ek taraf kya zauq-e-ibaadat ho un ko jo bas ke labon ke shaida hain halwa-e-bahishti ek taraf hotel ki mithai ek taraf taun-o-tap aur khatmal machchhar sab kuchh hai ye paida kichad se bambe ki rawani ek taraf aur sari safai ek taraf mazhab ka to dam wo bharte hain be-parda buton ko karte hain islam ka dawa ek taraf ye kafir-adai ek taraf har samt to hai ek dam-e-bala rah sakte hain khush kis tarah bhala aghyar ki kawish ek taraf aapas ki ladai ek taraf kya kaam chale kya rang jame kya baat bane kaun us ki sune hai 'akbar'-e-bekas ek taraf aur sari khudai ek taraf fariyaad kiye ja ai 'akbar' kuchh ho hi rahega aakhir-kar allah se tauba ek taraf sahab ki duhai ek taraf