mazhab ki mere yar agar justuju karen

By mushafi-ghulam-hamdaniNovember 9, 2020
mazhab ki mere yar agar justuju karen
marte hue mera na su-e-qibla ru karen
tha main sharab-dost bahut
meri khak ke


kase banane chahiyen kuchh
kuchh subu karen
mazkur mere girye ka ho jis jagah wahan
ahl-e-namaz ja-e-tayammum wazu karen


bang-e-zabih ho na kabhi aashna-e-gosh
kyun-kar tere shahid fughan be-gulu karen
gar tu sune to silsila-e-zulf ke asir
sharh-e-niyaz-mandi-e-dil mu-ba-mu karen


us ke dahan-e-tang mein ja-e-sukhan nahin
hum guftugu karen bhi to kya guftugu karen
talib hain dil se husn-e-mohabbat-faza ke hum
is se ziyaada aur tujhe khub-ru karen


zindan mein us ke hain to kai be-gunah asir
ghaalib ki roz-e-id inhen surkh-ru karen
dawe mein tere ishq ke sadiq na ho sake
sharmindagi se kyunki na hum sar-faru karen


charkh-e-hazar-rakhna ka paiwand kyunki ho
ye shaal wo nahin hai ki jis ko rafu karen
khulwa do un ki fasd ki diwane hain wo shakhs
jo fasl-e-gul mein mera gareban rafu karen


ye chahiye hai hum ko ki hum sab se mil chalen
ai 'mushafi' kisi ko na apna adu karen
34021 viewsghazalEnglish