mazhaka-KHez ye kirdar hua jata hai
By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
mazhaka-khez ye kirdar hua jata hai
wo jo 'ashiq tha adakar hua jata hai
guftugu kar ke pareshan hun ki lahje mein tere
wo khula-pan hai ki diwar hua jata hai
khel hai us ke liye tark-e-ta'alluq ka khayal
aur koi soch ke bimar hua jata hai
farq itna to pada hai ki mulaqat ke din
ab zara der se tayyar hua jata hai
ek hi jaise hain hum sab ke masail shayad
mera gham sab ka sarokar hua jata hai
hum to lahron se faqat khelne aae the yahan
aur samundar hai ki bedar hua jata hai
nind par jitne kade pahre lagata hun main
khwab ka rasta hamwar hua jata hai

21954 viewsghazal • English