mehnat se mil gaya jo safine ke bich tha dariya-e-itr mere pasine ke bich tha aazad ho gaya hun zaman-o-makan se main ek ghulam tha jo madine ke bich tha asl-e-sukhan mein nam ko pechidgi na thi ibham jis qadar tha qarine ke bich tha jo mere ham-sinon se bada kar gaya mujhe ehsas ka wo din bhi mahine ke bich tha kam-zarfiyon ne zarf ko mazruf kar diya jis dard mein ghira hun wo sine ke bich tha hain mar-e-ganj mar ke bhi sab dase hue taqsim ka wo zahr khazine ke bich tha tufan-e-bahr khak daraata mujhe 'turab' is se bada bhanwar to safine ke bich tha