mehrbanon ki mehrbani se

mehrbanon ki mehrbani se
log milte hain khush-bayani se

jab se dubi hai sohni dariya mein
mujh ko lagti hai aag pani se

zalzalon se makan girte hain
ghar ujadte hain bad-gumani se

koi samjhae jaane wale ko
dil bahalta nahin nishani se

aap nazan hain jis jawani par
hum bhi guzre hain us jawani se

qissa-go se yahi guzarish hai
dur raja kare na rani se

zindagani se ek shikwa hai
ek shikwa hai zindagani se

kyon na hoga shigaf patthar mein
ashk bahta raha rawani se

'faiz' duniya sanbhaal ab apni
mujh ko be-dakhl kar kahani se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close