mehwar mujhe bana sakte ho

By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
mehwar mujhe bana sakte ho
apni dhup bacha sakte ho
khwab tawana hai to kya hai
jism se dhoka kha sakte ho


gathri rakh den pith tika len
itni jagah bana sakte ho
koi badal milne tak mera
mujh se kaam chala sakte ho


aaj nahin pabandi koi
maut ka ghar hai aa sakte ho
tum se jhagadte dar lagta hai
mazi bich mein la sakte ho


shakl badal kar aata hun main
tum tab tak susta sakte ho
41217 viewsghazalEnglish