mera dil aisa toDa hai kisi ne

By farooque-adilJanuary 2, 2024
mera dil aisa toda hai kisi ne
kahin ka bhi na chhoda hai kisi ne
bahut shaffaf hai pani yahan ka
to kya daman nichoda hai kisi ne


main ghaflat mein pada tha muddaton se
mujhe aa kar jhinjhoda hai kisi ne
mohabbat ki kahani kya bataen
bana kar apna chhoda hai kisi ne


shikan mathe ki teri kah rahi hai
kalai ko maroda hai kisi ne
mera hi nam likkha hoga 'faruq'
wo ek kaghaz jo moda hai kisi ne


96371 viewsghazalEnglish