mera dil nahin hai mere hat tum bin

By siraj-aurangabadiNovember 21, 2020
mera dil nahin hai mere hat tum bin
khush aati nahin kisi ki baat tum bin
ghata gham ashk pani aah bijli
barasta hai ajab barsat tum bin


pukaron kyun na main he dost he dost
ki har shab qatl ki hai raat tum bin
kabhi to aaegi phir wasl ki aan
kiya gham ne mere par ghat tum bin


'siraj' az-bas ki hai be-tab-e-didar
use hai zindagi sakraat tum bin
86004 viewsghazalEnglish