mera gham tha na-mukammal gham-e-na-gahan se pahle meri zist be-maza thi tere imtihan se pahle ye mizaj-e-ashiqi hai ye mizaj-e-zindagi hai gham-e-dost chahta hun gham-e-do-jahan se pahle teri yaad se munawwar hain wo raste abhi tak teri justuju mein guzra main jahan jahan se pahle tere sang-e-dar se puchhe koi is jabin ki qimat jo kahin na kham hui ho tere aastan se pahle ye maqam-e-ishq 'jauhar' hai badi hi sakht manzil kai karwan hue gum mere karwan se pahle