mera hamrah kya mere hamrah
By nand-kishore-anhadFebruary 27, 2024
mera hamrah kya mere hamrah
main hi thakne laga mere hamrah
rah itni to ye tawil na thi
un dinon tu jo tha mere hamrah
kya bataun wo mod aisa tha
mujh ko mudna pada mere hamrah
bant le wahshaten zara apni
ham-safar ho mera mere hamrah
main na hounga sath wapsi mein
yaad rakh rasta mere hamrah
dekha dekhi thahar gaya 'anhad'
dariya bahta hua mere hamrah
main hi thakne laga mere hamrah
rah itni to ye tawil na thi
un dinon tu jo tha mere hamrah
kya bataun wo mod aisa tha
mujh ko mudna pada mere hamrah
bant le wahshaten zara apni
ham-safar ho mera mere hamrah
main na hounga sath wapsi mein
yaad rakh rasta mere hamrah
dekha dekhi thahar gaya 'anhad'
dariya bahta hua mere hamrah
82990 viewsghazal • English