mera jazba ki jo khud-fahm hai khud-kaam nahin pukhta maghzan-e-junun ki hawas-e-kham nahin saf kahta hun kinaya nahin ilham nahin kya ho aaram se duniya tujhe aaram nahin thak gae kya mah-o-anjum ke shikari tere hath aaj kyun ek sitara bhi tah-e-dam nahin tirgi waqt ki simti hui ek khal mein hai zehn ek haal mein hai subh nahin sham nahin din jawani ka dhala yani hui sham magar tum wo suraj ho ki jis par asar-e-sham nahin kya kare qais ki hai dhup hi sahra ki pasand saya-e-gesu-e-laila mein bhi aaram nahin 'mazhari' moatakif-e-hujra-e-inkar to hai 'mazhari' be-khabar-e-kulfat-e-ayyam nahin