mera khamosh rahna bhi haqiqat mein fughan hoga fasana dard-e-dil ka ashk ban ban kar ayan hoga haram se wasta kya dair se hum ko gharaz kya hai jahan hum sar jhukaenge tumhaara aastan hoga khabar kya thi mohabbat mein na chain aaega dam-bhar bhi zamin se aasman tak aasman hi aasman hoga kahan tak barq aur gulchin ujadenge jalaenge chaman ki dali dali par hamara aashiyan hoga mohabbat mein hamein ai 'dard' rahat mil nahin sakti agar wo mehrban hoga to dil na-mehrban hoga