mera khat hai jahan yaro wo rashk-e-hur le jaana kisi surat se wan tak tum mera mazkur le jaana agar wo shoala-ru puchhe mere dil ke phaphulon ko to us ke samne ek khosha-e-angur le jaana jo ye puchhe ki ab kitni hai us ke rang par zardi to yaro tum gul-e-sad-barg ya kafur le jaana agar puchhe mere sine ke zakhmon ko to ai yaro kahin se dhundh kar ek khana-e-zambur le jaana raqib-e-ru-siyah ke haal ka gar majra puchhe to us ke samne jangal se ek langur le jaana 'nazir' ek din khushi se yar ne hans kar kaha mujh ko ki tu bhi ek bosa hum se ai ranjur le jaana