mera lab-e-KHamosh agar iltija kare

mera lab-e-khamosh agar iltija kare
shayad teri nigah-e-karam e'tina kare

allah zor-e-be-asari ka bhala kare
yaksan hai koi nala kare ya dua kare

dil e'timad-e-wada-e-sabr-azma kare
kaam apna teri shokhi-e-taqat-ruba kare

us ka shabab josh pe aae khuda kare
dil zindagi se hath utha kar dua kare

gar ho sake to itna shahid-e-jafa kare
tegh-e-nigah-e-yar ke haq mein dua kare

parwana daur-e-gard-e-bisat-e-umid ho
dar-parda shama-e-bazm-e-mohabbat jala kare

iza-kushi ka daur bahaar-e-hayat hai
dil apna gul-faroshi-e-dagh-e-jafa kare

kuchh ikhtiyar bhi hai jo majburiyan hain kuchh
is kashmakash mein kahiye to insan kya kare

pahunche ye arsh par bhi to parwa na ho unhen
kahiye to nala mera rasa ho ke kya kare

aah-e-falak-rasa se to kuchh bhi na ho saka
shayad ki kuchh bulandi-e-dast-e-dua kare

majburi-e-atam mein hai zor ikhtiyar ka
jo kaam mujh se ho na sake wo khuda kare

quran mein likha hai jo la-taqnatu sarih
zauq-e-nigah kahiye to kyunkar khata kare

kyon chheden shokhiyan dil-e-shorish-pasand ko
kyon baithe baithe koi qayamat bapa kare

phir dam mein phansunga ki main said-e-shauq hun
sayyaad mashq ke liye mujh ko riha kare

lab aashna-e-arzu-e-dil kabhi na ho
aur majra-e-ishq ka qissa hua kare

'bedil' jo mast ho khabar-e-fasl-e-gul se wo
dawa-e-parsai-e-be-sarfa kya kare


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close