mera nishan bhi dhundh ghubar-e-mah-o-akhtar mein kuchh manzar main ne bhi banae banae hain manzar mein puchho to zakhmon ka hawala dena mushkil hai itni be-tartibi si hai dil ke daftar mein wo maujon ki tesha-zani se gunjti chattanen wo patthar si raat ka dhalna chand ke paikar mein itna yaad hai jab main chala tha su-e-dasht-e-bala maujen marta ek dariya bahta tha barabar main chamak raha hai khema-e-raushan dur sitare sa dil ki kashti tair rahi hai khule samundar mein 'zeb' mujhe dar lagne laga hai apne khwabon se jagte jagte dard raha karta hai mere sar mein