mera rasta badal gaya hota

By ahmed-arsalanJanuary 1, 2024
mera rasta badal gaya hota
tu bhi aage nikal gaya hota
mo'tarif hota ek jahan mera
main jo gir kar sanbhal gaya hota


na hi hota gila kisi se mujhe
mujh se gar tu bahal gaya hota
aa ke tere khayal mein aksar
main bhi sanche mein dhal gaya hota


ek nazar tum jo dekh lete mujhe
main khushi se machal gaya hota
sath hota jo aap ka 'ahmad'
hadisa sar se tal gaya hota


93822 viewsghazalEnglish