mera sar aap ke qadmon pe jhuka aaj ke din apni qismat pe mujhe naz hua aaj ke din jhum kar kali ghata chha gai har chaar taraf kis ne zulfon ko pareshan kiya aaj ke din sara aalam hai mere dida-e-hairan ki misal jalwa-gar kaun sar-e-bazm hua aaj ke din nigah-e-shauq tere rukh se hatai na gai dil mein ek dard naya aur utha aaj ke din ho ke khud samne aamal ki purshish kya khub apni hasti ka kise hosh raha aaj ke din ho dil-o-jaan 'shamim' aap pe qurban sau bar ek nigah-e-karam-o-lutf-o-ata aaj ke din