mera wajud hai ek naqsh-e-ab ki surat

By nau-bahar-sabirNovember 11, 2020
mera wajud hai ek naqsh-e-ab ki surat
shikast jis ka muqaddar hai khwab ki surat
bikhar na jaun faza mein waraq waraq ho kar
hawa ki zad mein hun kohna kitab ki surat


tanaw had se badhega to tut jaenge
dilon ke rabte tar-e-rabab ki surat
kisi bhi lamhe nikal jaunga hawa ki tarah
mera badan hai hisar-e-habab ki surat


darun-e-sina koi chikhta hai sham-o-sahar
ye qahqahe to hain rukh par naqab ki surat
ghurur-e-waqt se nashsha hua siwa 'sabir'
meri ana thi purani sharab ki surat


86819 viewsghazalEnglish