mere aage wo aa kar chup khaDa tha

By ahmad-kamal-hashmiMay 24, 2024
mere aage wo aa kar chup khada tha
mujhe ma'lum hai kya kah raha tha
zamana dekh kar hairat-zada tha
main rote rote kyon hansne laga tha


hila kar jis ne mujh ko rakh diya tha
kisi ki yaad thi ya zalzala tha
bahut taklif sah kar mar gaya main
mujhe sach bolne ka ‘ariza tha


main patthar tha par ek shishe ki khatir
shikasta mujh ko hona pad gaya tha
'kamal' us se juda ho kar musalsal
judai par main nazmen kah raha tha


40927 viewsghazalEnglish