mere chehre pe jo aansu gira tha

By ambar-bahraichiOctober 24, 2020
mere chehre pe jo aansu gira tha
na jaane kitne shoalon mein jala tha
hamare kan bahre ho gae the
udhar wo dastan-go hans raha tha


andheri raat sannate ka aalam
nadi ke par ek lapka jaga tha
bahut aazar the raste mein lekin
lahu mein phul-mausam hans raha tha


hawa-e-garm yun dil mein chali thi
meri aankhon mein sawan bas gaya tha
andhere dasht se nikle ki dekha
sawa neze pe suraj aa chuka tha


labon pe thi mere subh-e-tabassum
mere baatin mein koi ro raha tha
bahut din baad khul kar mil rahe the
mere bachchon ko jaane kya hua tha


bahut mushtaq tha shahr-e-khamoshan
ki basti mein faqat 'amabar' bacha tha
71486 viewsghazalEnglish