mere dil ki rakh kured mat ise muskura ke hawa na de ye charagh phir bhi charagh hai kahin tera hath jala na de nae daur ke nae khwab hain nae mausamon ke gulab hain ye mohabbaton ke charagh hain inhen nafraton ki hawa na de zara dekh chand ki pattiyon ne bikhar bikhar ke tamam shab tera nam likkha hai ret par koi lahr aa ke mita na de main udasiyan na saja sakun kabhi jism-o-jaan ke mazar par na diye jalen meri aankh mein mujhe itni sakht saza na de mere sath chalne ke shauq mein badi dhup sar pe uthaega tera nak naqsha hai mom ka kahin gham ki aag ghula na de main ghazal ki shabnami aankh se ye dukhon ke phul chuna karun meri saltanat mera fan rahe mujhe taj-o-takht khuda na de