mere diye tera nemul-badal raha hun main

By ahmad-kamal-hashmiMay 24, 2024
mere diye tera ne'mul-badal raha hun main
tu bujh gaya hai to ab dekh jal raha hun main
ye aur baat ki hum donon ham-qadam hain magar
wo mere sath na sath us ke chal raha hun main


ye tu ki tera hayula ki khwab hai mera
zara thahar ki abhi aankhen mal raha hun main
wo daudne mein kahin ladkhada ke gir na pade
wo jit jae so aahista chal raha hun main


mah-o-nujum ne mujh se bahut guzarish ki
so sham hone se pahle hi dhal raha hun main
safar ka shauq hai manzil ki koi chah nahin
so jaan-bujh ke raste badal raha hun main


qubul karte hain sab log munh bana ke mujhe
purane note ki manind chal raha hun main
mere dimagh pe dil ghaalib aa raha hai 'kamal'
har ek chap pe bahar nikal raha hun main


14283 viewsghazalEnglish