mere gham ke liye is bazm mein fursat kahan paida yahan to ho rahi hai dastan se dastan paida wahi hai ek masti si wahan nazron mein yan dil mein wahi hai ek shorish hi wahan pinhan yahan paida tu apna karwan le chal na kar gham mere zarron ka inhin zarron se ho jaega phir se karwan paida meri umren simat aai hain un ke ek lamhe mein badi muddat mein hoti hai ye umr-e-jawedan paida zara tum ne nazar pheri ki jaise kuchh na tha dil mein zara tum muskurae ho gaya phir ek jahan paida hamari sakht-jaani se hua shal hath qatil ka sar-e-maqtal hi hum ne kar liya dar-ul-aman paida tawaqqo hai ki badlega zamana lekin ai 'maikash' zamana hai yahi to ho chuke insan yahan paida