mere gham ki haqiqat ka zamana raazdan kyon ho

By abdul-majeed-dard-bhopaliApril 7, 2023
mere gham ki haqiqat ka zamana raazdan kyon ho
nihan hai raaz jo dil mein wo ashkon se ayan kyon ho
sukun-e-mustaqil kyon ho nishat-e-jawedan kyon ho
jo dil mein dard hai wo bais-e-taskin-e-jaan kyon ho


chaman mein jis taraf dekho nasheman hi nasheman hain
thikana barq ka meri hi shakh-e-ashiyan kyon ho
zamin un ki zaman un ka makan-o-la-makan un ka
to ai naseh jabin-sai ko qaid-e-astan kyon ho


chaman ki pasbani mein lahu hum ne bahaya hai
hamare samne darham nizam-e-gulistan kyon ho
parastar-e-tajalli hun wafadar-e-mohabbat hun
main us se kyon karun shikwa wo mujh par mehrban kyon ho


rah-e-hasti ke pech-o-kham se hum ai 'dard' waqif hain
bhatak jae jo manzil se hamara karwan kyon ho
65222 viewsghazalEnglish