mere ghubar bhare aainon mein rahti hai
By arsalan-rathorOctober 2, 2021
mere ghubar bhare aainon mein rahti hai
wo aankh jis ke liye raushni tarasti hai
is inhimak se taswir dekhta hun teri
ki ek bar to screen bhi larazti hai
do ek dip se jugnu to aankh aankh mein hain
kahin kahin pe charaghon ki sarparasti hai
tumhaare dhyan ki mithi si dudhiya khushbu
hayat-bakhsh hai itni ki ain hasti hai
tamam raat purane dinon ki ek nagin
samay ki khidkiyon se aa ke dil ko dasti hai

57331 viewsghazal • English