mere haalat se munh mod ke jaane wale tujh se kuchh puchh rahe hain ye zamane wale dekh kar tujh ko wo ab rah badal lete hain meri aawaz se aawaz milane wale tu bhi aa jaega haalat ki zad mein ek din meri barbaadi ke afsane sunane wale jaanib-e-shahar-e-wafa soch samajh kar jaana laut ke aate nahin hain wahan jaane wale dil ke is tutte rishte ka bharam rah jae ek nazar dekh le ai ruth ke jaane wale aa kabhi dekh mera haal-e-judai aa kar ghair ki bazm mein ai hansne hansane wale waqt se sikha hai main ne ye hunar jine ka khud hi gir jate hain auron ko girane wale 'mehrban' dil ka hai nazuk ye zara yaad rahe ai mere dil pe nae zakhm lagane wale