mere ham-nashin ye malal hai meri zindagi kahin kho gai

By aftab-shahNovember 28, 2024
mere ham-nashin ye malal hai meri zindagi kahin kho gai
mujhe das liya tere 'ishq ne meri dilkashi kahin kho gai
kisi ajnabi ka hua nahin mera dil bhi khul ke khila nahin
mera rabt tuta jo yar se meri khush-dili kahin kho gai


wo 'uruj tha to bata mujhe ye 'ajab sa kaisa zawal hai
mera haal ab to 'azab hai meri tazgi kahin kho gai
na hi khwab mein koi rup hai na hi soch mein koi rang hai
tera 'aks mujh se hai dur jo meri bandagi kahin kho gai


main khada hun kis ke makan mein main bujha bujha hun jahan mein
mera dil bhi lagta hai ghair ka meri dil-lagi kahin kho gai
wo jo mehrban tha khayal ka meri gahri soch-o-bichaar ka
usi mehrban ke bichhadne par meri pukhtagi kahin kho gai


mujhe man tha ki jo zakhm hain ye sile rahenge sada yunhi
mere chaak silte hi phat gae meri 'umdagi kahin kho gai
main darida hijr ka basi hun jo machal raha hai visal ko
tera lams nikhra jo khwab mein meri khastagi kahin kho gai


tu kahan gaya mere ham-nashin mere naqsh mujh se hain ham-kalam
mujhe hai guman tere 'ishq mein wo shaguftagi kahin kho gai
70668 viewsghazalEnglish