mere ham-suKHan mere ham-nawa teri KHair ho
By umair-ali-anjumJanuary 5, 2024
mere ham-sukhan mere ham-nawa teri khair ho
tu visal-rut mein juda hua teri khair ho
mere dard teri 'ata sahi main khafa sahi
tere haq mein karta hun main du'a teri khair ho
tujhe sare shahr ko chhod kar tha chuna kabhi
tu hi hath hum se chhuda gaya teri khair ho
koi tujh se shikwa gila karun na mila karun
mera zarf hi nahin manta teri khair ho
wo to kar raha tha judaiyon ki wazahaten
mera sirf ek jawab tha teri khair ho
na nazar nazar mein tu de sada mujhe bhul ja
nahin mujh mein ab nahin hausla teri khair ho
ye nadamaten na dikha mujhe na sata mujhe
ja tujhe faqir ne kah diya teri khair ho

98758 viewsghazal • English