mere hi dil ke satane ko gham aaya sidha rasta dekh liya hai mere ghar ka sidha ek surat kabhi talea ki na dekhi hum ne khat-e-taqdir likha hai ajab ulta-sidha sidhi sidhi hamein har-waqt suna baithte ho nam sun paya hai sahab ne hamara sidha tedhi banke hue us shokh ke aage sidhe kya hi kaj-fahm hai wo jo use samjha sidha ishq-e-pechan ko kiya hum ne jo aada-tirchha sarw ko yar ne gulshan mein banaya sidha khat ke aane pe bhi tedha hi raha wo hum se khizr ne bhi hamein rasta na bataya sidha 'mehr' wallah main qatil hun teri baaton ka khub andaz-e-sukhan hai tera sidha sidha