mere honton pe meri aah-o-fughan hai jaanan log kahte hain badi talkh zaban hai jaanan jaante hain ki mohabbat ka maraz hai mujh ko puchh lete hain magar dard kahan hai jaanan das lagte hain ye duniya ke sukhnawar tere teri baaton ka wo andaz-e-bayan hai jaanan kah ke patthar jise duniya ne laga di thokar wo mera dil hai mohabbat ka makan hai jaanan dard diwar pe mandir ki likhi chaupai aah meri kisi masjid ki azan hai jaanan kar ke ghayal mujhe masum bani baithi hai teri aankhon pe jo palkon ki kaman hai jaanan mere sine pe zara dast-e-hina rakh do tum dil mein ab ishq ka khurshed jawan hai jaanan kar li mahtab ne ye dekh ke raaten kali tere honton pe jo ek til ka nishan hai jaanan teri aankhon mein mere donon jahan baste hain tere qadmon pe lagi khak mein jaan hai jaanan