mere jazbaat ki rau jaane kahan bahki hai

By razia-ranaMay 5, 2021
mere jazbaat ki rau jaane kahan bahki hai
ab to mushkil hai chhupana tujhe afsanon mein
dil ka shoala to bhadakta hi raha ashkon se
raat bhar shama pighalti rahi parwanon mein


rang-e-ikhlas-o-wafa kaifiyat-e-soz-o-gudaz
aur kya chiz sajaun tere armanon mein
phir meri aankhon mein lahraya tera khwab-e-hasin
le chali nind mujhe tere shabistanon mein


zindagi chahe kahin kar le thikana apna
ruh mandlati rahegi tere kashanon mein
ek nairang-e-junun-saz sada-e-paiham
hai ye andaz-e-kashish husn ke diwanon mein


aaj bahki hui duniya hai nigahon mein meri
jaane kya baat hai saqi tere paimanon mein
tha kahan hosh tere tishna-labon mein baqi
dil ka paimana liye rah gae mai-khanon mein


chand ka phika tabassum gul-e-pazhmurda hi
raunaqen hain yahi baqi mere viranon mein
71651 viewsghazalEnglish