mere junun-e-shauq ka aalam hi aur tha

mere junun-e-shauq ka aalam hi aur tha
wo ibtida-e-ishq ka mausam hi aur tha

jis ne mere shuur ko bakhsha tha eatibar
wo gham gham-e-hayat na tha gham hi aur tha

wo lan-taraniyan na wo laf-o-gazaf tha
wo aa gaya to bazm ka aalam hi aur tha

tahzib-e-nau ne mom ko patthar bana diya
ek din wo tha fasana-e-adam hi aur tha

lazzat-shanas zer-e-gham-e-ishq tha ye dil
lekin jo ab ke bar mila sam hi aur tha

sharh-o-bayan se aur ulajhta chala gaya
ai ham-nashin wo qissa-e-mubham hi aur tha

pahle bhi arz-e-haal ye roya hai wo magar
kal raat us ka girya-e-paiham hi aur tha

khanjar ki dhaar jis ne rag-e-jaan se kat di
wo eatibar-e-azmat-e-adam hi aur tha

'jabir' harif-e-gardish-e-dauran tha un dinon
wo tha sharik-e-haal to dam-kham hi aur tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close