mere kaghaz pe hain lafzon ke tabinda sitare

By yawar-azeemFebruary 15, 2022
mere kaghaz pe hain lafzon ke tabinda sitare
zamin-e-sher se nikle darakhshanda sitare
bisat-e-raftagan-e-fan lapeti ja chuki hai
sar-e-charkh-e-hunar maujud hain zinda sitare


muqaddar ki lakiren khinchne wala khuda hai
nahin hote muqaddar ke nawisanda sitare
nadamat ke sabab kya munh dikhaenge sahar ko
ki hain jurm-e-tunuk-tabi pe sharminda sitare


na honge bai'at-e-shab ke liye tayyar hargiz
wo maujuda sitare hon ki aainda sitare
fasil-e-waqt par kanda rahega nam apna
ki hum hain ahd-e-hazir ke numainda sitare


zamin ke goshe goshe par nazar rakhte hain 'yawar'
jamal-e-subh-e-farda ke hain joinda sitare
66180 viewsghazalEnglish