mere lahu ne mere jism se baghawat ki
By salim-saleemFebruary 28, 2024
mere lahu ne mere jism se baghawat ki
ye aur kuchh bhi nahin baat hai tabi'at ki
nikal ke dil se main duniya mein hun qayam-pazir
kahan thaharna tha mujh ko kahan sukunat ki
azal ke roz ka hona na hona yaksan tha
to main ne apne na hone pe phir qana'at ki
ye khushk-o-tar ye zamin-asman ye roz-o-shab
koi bhi chiz nahin hai meri zarurat ki

40757 viewsghazal • English