mere nasib ka hai ya sitara khwab ka hai safar ke bab mein lekin sahaara khwab ka hai tere khayal ka sahra ubur karne mein hai nafa dard ka lekin khasara khwab ka hai jale-bujhe hue kheme ki rakh mein jis ko sitare dhundte hain wo sharara khwab ka hai khuda kare ki khule ek din zamane par meri kahani mein jo istiara khwab ka hai baras raha hai zamin-e-sukhan pe jo 'khurshid' kisi malal ka ya abr-para khwab ka hai