mere qarib na aa hausla baDha na mera
By salim-saleemFebruary 28, 2024
mere qarib na aa hausla badha na mera
ki thak chuka hai tere bojh se ye shana mera
bas ek lamhe ki khatir thahar gaya tha koi
ruka pada hai usi roz se zamana mera
jo phir raha hun main yun dar-ba-dar to ab shayad
use gawara nahin shahr mein thikana mera
ye maut mujh pe bade tanz kasti rahti hai
ki zindagi se ta'aruf hai ghaebana mera

69317 viewsghazal • English