mere qarib wo aaya tha ru-ba-ru na hua

By naeem-sabaOctober 25, 2023
mere qarib wo aaya tha ru-ba-ru na hua
nazar mila ke bhi mail-ba-guftugu na hua
khizan ba-dosh har ek phul hai kali be-rang
kaf-e-bahaar se gulshan bhi mushk-bu na hua


faza mein habs tha mauj-e-hawa bhi sakit thi
teri wafa ka magar phul be numu na hua
main kis ko apne lahu ka khiraj pesh karun
mere lahu se to maqtal bhi surkh-ru na hua


pahan liya hai sar-e-dar khun ka pairahan
sitam to ye hai ki shamil mera lahu na hua
chhalakta jam tha saqi tha mai-kada bhi tha
magar ye lab kabhi minnat-kash-e-subu na hua


63900 viewsghazalEnglish