mere rone par kisi ki chashm giryan hae hae wo gul-e-tar wo faza-e-shabnamistan hae hae wo kisi ki yaad-e-paiham sham-e-hijran hae hae har nafas waqf-e-nawa-ha-e-pareshan hae hae dil pe dard-e-ishq ka ek ek ehsan hae hae jaan ki surat mein koi dushman-e-jaan hae hae subh-e-hijran bad-tar-az-shab-ha-e-hijran hae hae zindagi ek mustaqil khwab-e-pareshan hae hae dil ki rahat ke liye un ki mohabbat ke liye koshish-e-be-sud phirta hadd-e-imkan hae hae meri khatir aur wo majburiyon ka e'tiraf un ke nazuk dil ko bhi ehsas-e-hijran hae hae kaifiyat-e-sajda-e-zauq-e-mohabbat al-aman kaba-e-dil be-niyaz-e-kufr-o-iman hae hae wo mera kaif-e-nazar wo be-khudi wo sarkhushi fursat-e-nazzara-ha-e-husn-e-jaanan hae hae un ki mahfil mein bhi hun daman-kash-e-wahshat-ba-dil har jagah ek aalam-e-adab-e-zindan hae hae yas ki maujon mein har manzar ka aakhir dubna dil se wo uthta hua tufan-e-hirman hae hae jo na samjhen dard kya hai dard ka ehsas kya kab tak un ke waste 'basit' ghazal-khwan hae hae