mere safar ki shuruat hone wali hai
By salim-saleemFebruary 28, 2024
mere safar ki shuru'at hone wali hai
ye kaenat meri zat hone wali hai
suno ki ghar pe kai khwab muntazir honge
chalo yahan se ki ab raat hone wali hai
wo din gae ki junun karte the sar-e-bazar
ab apne ghar mein karamat hone wali hai
ragon se phutne wala hai taza taza lahu
ki aaj us se mulaqat hone wali hai
ye kaenat meri zat hone wali hai
suno ki ghar pe kai khwab muntazir honge
chalo yahan se ki ab raat hone wali hai
wo din gae ki junun karte the sar-e-bazar
ab apne ghar mein karamat hone wali hai
ragon se phutne wala hai taza taza lahu
ki aaj us se mulaqat hone wali hai
39654 viewsghazal • English