mere soe dil ko jagane lagi hai ye sahra mein baadal sajaane lagi hai bichha do sabhi phul rahon pe us ke wo sawan ki rut milne aane lagi hai zamin se falak tak chhalakta saman hai hawa mein samundar uthane lagi hai kabhi girte patte kabhi udte patte ye aangan mein halchal machane lagi hai badi khubsurat hai barish magar ye gharibon ki chhat kyun girane lagi hai tapakta hai pani shajar se hajar se ye patthar bhi dekho rulane lagi hai hui ghar se rukhsat hai beti ki doli man barish mein aansu chhupane lagi hai 'mahak' dil tha aawara panchhi hawa ka use ghar ka rasta dikhane lagi hai