mere wahm-o-guman pe raat din chhai udasi hai pahan kar khwahishon ka ye badan aai udasi hai parinda jism ke pinjre mein aaya to bahut khush tha magar us ne sahar se sham tak pai udasi hai koi batlae ki ab kis tarah paun sukun-e-dil mere is jism ke pinjre mein dar aai udasi hai chaman be-rang afsurda kali har phul be-khushbu bahaaron ki faza bhi is baras lai udasi hai nazar aaya nahin mujh ko mera gul-rang chehra jab kaha aaine ne hazrat ye tanhai udasi hai har ek su shahr-e-dil-aram mein jashn-e-bahaaran tha faza mere hi ghar aangan ki kahlai udasi hai ghata chhate hi jaise dhup chhat jati hai aangan ki tujhe aate zara dekha to sharmai udasi hai