mere zaKHmon ko jalane ka irada hai kya

By imran-mahmood-maniJanuary 3, 2024
mere zakhmon ko jalane ka irada hai kya
phir jise tod sako aisa ye wa'da hai kya
koi maqtal mein na aaya hai uthane ke liye
ek malika ne jise mara wo pyaada hai kya


hosh ko hosh mein aane de ubalte hue ashk
kyon gham-e-yar pilate ho ye baada hai kya
dekh teri hi talab dil ke siwa jaan bhi kare
tu ne samjha hi nahin itna hi sada hai kya


zakhm-dar-zakhm hui ruh badan se puchhe
khaal se khun tapakta ye labaada hai kya
kasa-e-dil ko tere dar pe rakha hai kab se
jhank rauzan se bata tera irada hai kya


har ghadi mere khad-o-khal badalte jaen
chehra jhadta hai hawa se ye burada hai kya
54532 viewsghazalEnglish