meri aamad pe sajate the jo rasta mera

By azwar-shiraziFebruary 26, 2024
meri aamad pe sajate the jo rasta mera
dil kiya hai unhi hathon ne shikasta mera
bhid ko apne khayalat bata sakta nahin
warna khun pani se ho jaega sasta mera


kaise tahzib-e-‘aza-dari samajh paega
jis ne dekha hi nahin matami dasta mera
bas isi zo'm mein barbaad kiya hai khud ko
maut ke kaam na aae tan-e-khasta mera


roti hoti na thi aur meri jama'at ke dost
tod dete the bharam khol ke basta mera
laut ke aa ja mujhe chhod ke jaane wale
dil teri did ko ab bhi hai tarasta mera


gar mujhe yar ke pahlu mein jagah mil jati
qahr khud par na shab-o-roz barasta mera
ghair-abaad 'ilaqe bhi basae main ne
mujh se lekin dil-e-viran nahin basta mera


phir kabhi hath na uth pae du'a ki khatir
itna dushman ne kiya pahlu shikasta mera
main ne jab dudh pilaya tha mohabbat se use
kaise mumkin tha mujhe sanp na dasta mera


75556 viewsghazalEnglish